AADABE MASJID W QIBLA


{1}JAB MASJID mein DAAKHIL ho to SALAAM kare BASHARTEIN ki LOG WAHAN MAUJUD hai ZIKR DARS mein MASHGOOL NAA ho.
{2}WAQTE MAKROOH NAA ho to 2-RAKAAT TAHIYYATUL MASJID ADAA karen.
{3}MASJID mein KHARID wa PHROKHT NAA KAREIN.
{4}NANGI TALWAAR MASJID mein NAA LE JAAYE.
{5}GUMI HUE CHEEZ MASJID mein NAA DHOONDHE.
{6}ZIKR ke SIWAA AAWAAZ BULAND NAA karen.
{7}DUNIYAA ki BAATEIN NAA karein.
{8}LOGON kee GARDANE NAA PHALAAGIEN.
{9}JAGAH ke MUTALLIK kisi se JHAGADAA NAA karein.
{10}IS TARAH NAA BAITHE ki DUSARON ke liye JAGAH mein TANGI ho.
{11}NAMAAZI ke AAGE se NAA GUZAREIN.
{12}MASJID mein THOOK KHAKHAAR NAA DAALEIN.
{13}UNGALIYAA NAA CHATKAAYEN.
{14}NAJAASAT aur BACHHON aur PAAGALON se MASJID ko BACHAAYEN.
{15}ZIKRE ILAAHI ki KASRAT karein.
[ALAMGIRI,BAHARE SHARIYAT-HISSA-16,ADAABE SUNNAT]

MASAA'IL-1:JISAKE BADAN YA KAPADEN par NIJAASAT LAGI ho wah MASJID mein NAA JAAYE [ALAMGIRI]

MASAA'IL-2:MASJID ke SAAIL ko DENAA MANAA hai.MASJID mein DUNIYAA ke BAATEIN karni MAKROOH hai.MASJID mein KALAAM NEKIYON ko is tarah KHAATAA hai jis tarah AAG LAKADI ko KHAATI hai.ye JAAIZ KALAAM ke MUTALLAIK hai NAAJAAYAZ KALAAM ke GUNAAH ka kyaa poochnaa.[DURRE MUKHTAAR]

Popular posts from this blog

DUA-E-ASHURA

IMAM AHMED RAZA AS THE MUJADDID OF THE 14TH CENTURY