MAREEZ KE MASAA'IL


HADEES NO.1:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ki jab SUNO ki FALAAN jagah TAOON hai to wahaan NAA JAAO aur jab wahaan ho jaaye jahaan TUM HO TO WAHAAN se NAA nikalo.
[BUKHARI,MUSLIM,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.2:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA TAOON AZZAB ki NISHAANI hai ALLAH TAALA ne APANE BANDON mein se kuch logon ko ISAME MUBTILA kiya jab suno ki kahin hai to wahaan NAA JAAO aur jab wahaan ho jaaye jahaan TUM HO TO bhaago mat.
[MUSLIM,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.3:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA TAOON HAR MUSLIM ke liye SHAHAADAT hai.
[BUKHARI,MUSLIM,AHMED,ADAABE SUNNAT]

MASAA'LA NO.1:-MAREEZ ki EYAADAT karnaa SUNNAT hai AGAR MAALUM HO TO EYAADAT ko jaayega to us BIMAAR par GIRAAN GUZEREGAA aisi HAALAT mein EYAADAT NAA kare.
[BAHARE SHARIYAT]

MASAA'LA NO.2:-EYAADAT ko JAAYE AUR marz KI sakhti dekhe to MAREEZ ke SAAMANE YE ZAAHIR NAA kare ki TUMHAARI HAALAT KHRAAB hai aur NAA SAR HILAAYE jisase HAALAT ka KHARAAB honaa samjhaa jataa HAI.
[BAHARE SHARIYAT]

MASAA'LA NO.3:-HARAAM CHEEZON ko DAWAA ke taur par bhi ISTEMAAL karnaa NAJAAYEZ hai HADEES mein IRSHAAD FARMAAYA JO CHEEZ HARAAM hai unmein ALLAH TAALA ne SHIPHAA nahin rakhi hai.
[BAHARE SHARIYAT]

MASAA'LA NO.4:-SHARAAB se KHAARAJI ILAAJ bhi NAJAAYEZ hai maslan ZAKHM mein SHARAAB LAGAAYI ya kisi JAANWAR ko ZAKHM hai us par SHARAAB LAGAAI YA BACHHE ke ILAAJ mein SHARAAB ka ISTEMAAL in sab mein wah GUNAHGAAR hogaa jisane isko ISTEMAAL karaaya.
[BAHAARE SHARIYAT]

MASAA'LA NO.5:-BAAZ AMRAAZ mein MAREEZ ko BEHOSH karana padta hai.taaki GOSHT KATAA JAA sake yaa ZAKHM mein TAANKE LAGAAYE jaaye is ZAROORAT se DAWAA se BEHOSH karnaa jaaiz hai.
[BAHARE SHARIYAT]

Popular posts from this blog

DUA-E-ASHURA

IMAM AHMED RAZA AS THE MUJADDID OF THE 14TH CENTURY