MAREEZ KI EYAADAT KA BYAAN



NOTE:MAREEZ ki EYAADAT ko jaanaa SUNNAT hai.
HADEES NO.1:-HUZURE AQDAS SALLALAHU ALAIHI
WASALLAM FARMAATE hai ki MUSALMAAN par
MUSALMAAN ke PAANCH HAQ hai.
1.SALAM KA JAWAAB DENA.
2.MAREEZ ki EYAADAT ko jaana.
3.JANAAZE KE SAATH JAANA.
4.DAAWAT QUBOOL KARNA.
5.CHHIKANE WAALE ka JAWAAB DENAA.
[BUKHARI,MUSLIM,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.2:-
HUZURE AQDAS SALLALAHU ALAIHI WASALLAM FARMAATE
hai ki JAB MUSALMAAN apane MUSALMAAN
BHAI ki EYAADAT ko gayaa to waapas hone tak
HAMESHAA JANNAT ke PHAL CHUNANE mein raha.
[BUKHARI,MUSLIM,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.3:-HUZURE AQDAS SALLALAHU ALAIHI WASALLAM
FARMAATE hai ki PAANCH CHEEZE jo EK-DEEN mein karega
ALLAH TAALA usko JANNATIYON mein LIKH DEGA.
1.MAREEZ ki EYAADAT KARE.
2.JANAAZE main HAZZER ho.
3.ROZAA RAKHE.
4.JUME ko JAAYE.
5.GULAAM AAZAAD kare.

HADEES NO.4:-HUZURE AQDAS SALLALAHU ALAIHI WASALLAM
FARMAATE hai ki JAB TOO MAREEZ ke paas jaaye to usase
kah ki TERE LIYE DUAA kare ki usaki DUAA MALAAIKA ki
tarah hai.
[IBNE MAAJAH,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.5:-RASOOLULLAH SALLALAHO ALAIHI wa SALLAM
FARMAATE hai ki JO MUSALMAAN kisi MUSALMAAN ki EYAADAT
ke liye SUBAH ko JAAYE to SHAAM TAK usake liye SATTER
HAZAAR FARISHTE ISTIGFAAR karte hai aur SHAAM ko jaaye
to SUBAH TAK SATTER HAZAAR FARISHTE ISTIGFAAR karte hai
aur uske liye JANNAT mein ek baug hai.
[ABU DAWOOD SHARIF,ADAABE SUNNAT]

Popular posts from this blog

DUA-E-ASHURA

IMAM AHMED RAZA AS THE MUJADDID OF THE 14TH CENTURY