SDI-DAILY DARS




(1)HAZRAT ANAS FARMATE hai ki MAINE HUZUR
ALAIHIS SALAM ko BAITH kar KHAJURE
KHAATE DEKHA hai. [MUSLIM SHARIF]

(2)HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAYA
MAIN TEK LAGAAKAR KHANA NAHIN KHATA.
[BUKHARI SHARIF]

(3)KHAATE WAQT TEK LAGANA KHILAAFE SUNNAT hai
kyunki HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM KHAATE
WAQT TEK LAGANE se MANA kiya hai.
[ADABE SUNNAT]

(4)JAB KHAANA SAAMANE RAKH DIYAA JAAYE TO
APANE JUTE UTAAR LIYA KARO kyunki ye
TUMHAARE PAIRON ke liye ARAM BAKHSH hai
[MISHKAT SHARIF]

(5)KHAANE ke liye JAB BAITHEIN to SABASE
PAHALE JAB KHAANA SHURU kare to
BISMILLAH PADHEIN. [ADABE SUNNAT]

(6)DUAA YAKIN aur TAWAJJOH ke sath
kare kyunki ALLAH TAALA ko kuch DENE
se koi ROKANEWALA NAHIN.[MUSLIM]
VISIT
www.prosdi.blogspot.com

(7)HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAYA
ki APANI JAAN W MAAL aur AULAAD ke liye
BAD DUAA NAA karo.[MUSLIM]
sdipro.blogspot.com

(8)BAD DUAA KARANA KHILAAFE SUNNAT hai
KHAASKAR APANI AULAAD ke liye BAD DUAA karna
BILKUL ACHHA NAHIN.
[ADABE SUNNAT]

(9)DUAA karanewaale ke saath EK-FARISHTAA
MUQARRAR kar diya jata hai to MUQARRAR
FARISHTA MOMIN ki DUAA par AAMIN kahtaa hai.
[MUSLIM]

(10)MOMIN ki GAIR MAUJUDAGI mein AGAR
uska koi BHAI DUAA karta hai to wah
MAQBOOL HOTI hai [MUSLIM]
Type JOIN SDIPRO
send 9219592195.

Popular posts from this blog

DUA-E-ASHURA

IMAM AHMED RAZA AS THE MUJADDID OF THE 14TH CENTURY