Posts

Showing posts from May 30, 2010

ANGHUTHI W ZEWAR KI SUNNATEIN W AADAAB

Image
(1)HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM CHAANDI ki ANGUNTHI PAHNAA karte the US par AAPKA NAAM MUBARAK KHUDAA HUAA tha [ADABE SUNNAT]. (2)SONE{GOLD}ka PAHNANA SINGAAR ka SABAB aur RAUNAK hai isliye ISLAAM mein MARDON ke liye HARAAM hai [ADABE SUNNAT] (3)AURATON ke liye KISI HAD TAK ZEWAR ka ISTEMAAL DURUST hai magar aisa ZEWAR jisase JHANKAR PAIDAA HOTI ho mana hai. [ADABE SUNNAT] (4)HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne SONE KE ZEWARAAT ki bajaaye CHAANDI ke ZEWRAAT ISTEMAAL karane ki TAALIM DI HAI. [ADABE SUNNAT] (5)MARDON ke liye CHAANDI ki ANGUNDHI PAHNANA JAAIZ hai jiska WAZAN EK-MISKAAL se kam hai MISKAAL GRAAM ke baraabar hai. [ADABE SUNNAT]

MUSAAFAH KA BYAAN

Image
MUSAAFEH KA MATLAB SACHHE DIL aur MUHABBAT se HAATH MILAANA hai,HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM KHUD bhi MUSAAFAH FARMAATE aur aapake SAHAABA bhi AAPAS MEIN MILATE TO AAPAS mein MUSAAFAH karate,isliye MUSAAFAH NABI-E-KARIM SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ki PASANDIDA SUNNAT hai. HADEES SHARIF:-HAZRAT ABU AMAMA RADIYALLAHU TALA ANHU KAHATE hai RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAYA MAREEZ ki PURI MIJAAZ PURSI YE HAI KI TUM AAPANA HAATH MAREEZ KI PESHAANI YAA HAATH PAR RAKH KAR USASE USAKA HAAL PUCHHO aur TUMHARA AAPAS MEIN SALAAM KARNA MUSAAFAH se MUKAMMAL hota hai. [TIRMIZI] MARD MARD se AURAT AURAT se MUSAAFAH kare:-MUSAAFEH KA BUNIYAADI ISLAAMI TAARIKA YE HAI KI MARD DUSARE MARD se MUSAAFAH kare aur AURAT DUSARI AURAT SE MUSAAFAH kare.MUSAAFAH KE LIYE MARD ko kisi AURAT se HAATH MILAANA JAAIZ NAHI,AISE HI AURAT KO MARD SE MUSAAFAH NAHI KARNAA CHAAHIYE KYUNKI MARD aur AURAT KA AAPAS MEIN MUSAAFAH KHILAAFE SHARIYAT hai. [ADABE SUNNAT]

SDI-MARKAZI SUNNI IJTEMA

Image

SUNNI DAWATE ISLAMI CONTACT PERSONS

Image